Monday, March 31, 2008

kuch log kabhi lautke nahin aatein....

kuch log isliye khaas hote hein,
ki woh kabhi lautke nahin aatein....

kisi ke liye woh bewafaa hein,
tho kisi ke liye adhoora pyaar....

jo bhi ho ,
kuch tho baat hain un logon mein
jo dhoor jaake bhi
humein woh dhoor nahin lagte,
judhaa hoke bhi
hum usse bhulaa nahin paatein,
unka zikr bhi jab kare
tho aankhein nam ho jaati hain,
woh hamaare liye kya the
kehne ko lafz kam pad jaati hain,

kisi ke liye woh dardbhari yaad hain,
tho kisi ke liye dard mein bhi
muskuraane ki wajah.....

jo bhi ho ,
kuch tho baat hain un logon mein

lekin naa jaane kyun
woh kabhi laut hi nahin aatein.......

Friday, March 14, 2008

zakhm.......

mushqil yeh nahin hain ki
main usse bhulaa nahin saktaa,
mushqil tho yeh hain ki agar bhool jaun
tho main kuch likh hi nahin saktaa.......

taqleef yeh nahin hain ki
ab yeh dard main kisise chupaa nahin saktaa,
taqleef tho yeh hain ki us dard ka kyaa karu
jo koi dekh hi nahin saktaa.......

waise tho paane ke liye
pyaar karte hain sabhi,
aur sirf khone ke liye
karke dekhaa hain maine......

zindagibhar hasne ke liye
pyaar karte hain sabhi,
tanhaayee mein rone ke liye
karke dekhaa hain maine......

kehte hain jo pyaar adhoora reh jaaye
uski chot bahut gehre hote hain,
zindagibhar woh zakhm reh jaata hain....

dar yeh nahin hain ki
is chot ko seene mein lekar hi
mar naa jaaye kahin.....
dar tho yeh lagtaa hain ki
kahin waqt un yaadon ko naa mitaaye
aur zakhm bhar naa jaaye kahin........

Friday, March 7, 2008

ek din.......

raat bhar sitaaron mein
tumhe dhoonda kartaa hoon....
yaadon mein khayaalon mein
tumse milaa kartaa hoon....

yeh beqaraari jo aaj
mujhe sone nahin deti
ek din tumko bhi naseeb ho
yeh duwaah maangaa kartaa hoon.........