Monday, February 25, 2008

yaad......

Aaj phir aayi thi teri yaadein
Bhoole Hue Woh Kal Lekar
Kabhi Jiske Barasne Se Tu Aayi Thi
Woh Saawan,Woh Baadal Lekar..

Jiske Saaye Mein Maine Jeena Chaaha
Marna Chaaha Woh Aanchal Lekar
Bhoolkar Bhi Jise Bhulaa Na Paaya
Woh Din,Woh Pal Lekar

Meri Haathon ko choomkar,mujhe baahon main lekar
tumne mujhe ek zindagi diye
Jiske kadam padthe hi,zindagi main bahaarein aaye
khoobsurat si woh dosti diye
Meri Aankhon main kabhi aansoon na aaye
meri honton se kabhi hansi na jaaye
yeh dua maangkar mujhe har khushi diye
aankhon main aashiqi diye
Thodi si deewangi diye........

Yeh yaadein mujhe tadpaa jaati hein
subah shaam tera naam lekar
Kabhi Jiske Barasne Se Tu Aayi Thi
Woh Saawan,Woh Baadal Lekar..

No comments: