Friday, February 22, 2008

sapnaa....

main jaanta hoon
uski aankhein kabhi meri taraf uta hi nahin,
phir bhi maine apne dil mein kahin
ek sapna sajaake rakhaa hain
kya pata ek din woh aaye
aur meri aankhon mein dekhe.....

main jaanta hoon
uski hoton pe kabhi mera naam tha hi nahin,
phir bhi maine apne dil mein kahin
ek shiqayat dabaake rakhaa hain
kya pata ek din woh aaye
aur mujhse pooche.....

No comments: